Dil ko kamzor karne wale asbaab ki janib say zayada say zayada muhtaat
rehne ki zaroorat hai yahaan un asbaab ka mukhtaser zikar kia jata hai,
1- Fikar
Dil ko sab say zayada kamzor karne wali bala fikar hai.kai tarah
ka fikar insan apne aap ko laga leta hai.Baaz musibat mein guzray howe
aoqaat ko yaad kar ke ghamgin aor khaof zada rehte hain is tarah ke
ghamgin aor preshan mere brothers and sisters ko sochna chahye ke pahle
jo ho chuka woh ho chuka fikar karne say ab kia hasil?
Baaz log apne jisam say mutaaliq hi fikar karte rehte hain keh hamara
jisam dubla patla kion hai aor baaz log apne motapa say preshan hote
hain aor baaz kisi ki mohabbat mein soch soch kar dukhi ban jate hain.Ye
tamaam tafakkuraat bay bunyad aor jawani ke dushman hain.
2-Mayoosi Aor Na Ummeedi
Is say bhi dil par bahut bura asar parta hai agar koi kaam hamari
khawahish ke mubatiq nahin hota to hamara mayoos ho jana aor himmat haar
baithna koi jawanmardi nahin,bajae mayoos aor na ummeed hone ke hamein
apni himmat say kaam letay howe usay sar anjam denay keleye dobara
koshish karni chahye.
3-Ghussa
Khoon ke andar jitna zaher ghussa say paida hota hai shayed hi kisi
aor cheez say hota ho.khoon na serf zahreela banta hai balke bahut
zayada ghussa ki waja say khoon jal jata hai.is leye ghussa say har
halat mein bachna chahye.
4-Nafrat
Ik aadmi ke khayalat ham say nahin milte ya ik admi ki aadaat aor aor
aamaal hamein pasand na hoon to ham us say nafrat karte hain, is tarah
us aadmi ka to kuch nahin begarta balkeh us aadmi ko dekh kar khud
hamein waqti preshani ka samna karna parta hai,hamein chahye ke us ki
aslah karein,nafrat karne say dil par bhi bura asar parta hai.
5-Chughli Aor Hasad
Doosroon ki buraiyan karte rehne say aor ek ki baat doosre ke samne
karne say bhi dil mein kamzori aa jati hai kion ke us insan ko ye khaof
hota hai ke jis ki main burai kar raha hoon ya chughli kar raha hoon
kahein us ko pata na chal jae keh main ne us ki burai ya chughli ki yahi
khaof us insan keleye dil ki kamzori ka sabab banta hai.Doosroon ki
izzat aor maal o daolat par hasad karna bhi dil ko kamzor kar deta hai.
6-Aaib Joi
Doosroon ke aaib aor gunah talash karte rehna aor un ki buraion par
nazar rakhna bhi dil ko kamzor kar deta hai kion keh aisa insan har waqt
doosroon ke gunah aor aaib talash karne ki koshish mein preshan rehta
hai aor yahi preshani us ki dil ki kamzori ka sabab banti hai.
7-Khud Gharzi
jo shakhs apni gharz ko he samne rakhta hai aor apne nafa keleye
doosroon ka nuqsaan karne say nahin rukta ,us ka dil bhi mazboot nahin
rah sakta kion ke us ko har waqt apna mafaad hi hasil karne ki fikar
rehti hai yahi fikar aor preshani us ke dil ko kamzor karti hai.
8-Khayalat Ki Napaaki
Bure khayalat dil ko mareez bana detay hain kion keh insan un
khayalat ki takmeel keleye khofzada hota hai keh kahin us ki haqeeqat
doosroon ko pata na chal jae aor jab wo burai ka erada karta hai to bhi
us ko yahi khaof hota hai keh main kisi bari musibat mein phans na
jaoon yahi khaof us ke dil ko kamzor karta hai.is leye hamein chahye keh
ham apne khayalat ko burai say paak rakhein.
9-Dhoka Faraib
Doosroon say dhoka karne wale insan ka dil hamesha kaanpta rehta hai
keh kahein us ka dhoka aor faraib logoon par zahir na ho jae. ye khaof
us ko hamesha preshan rakhta hai aor dil ko kamzor karta hai.
10-Nafs Ki Ghulami
Dil ko tabah karne wali aadaat mein nafs ki ghulami numbar ek hai.
nafs e ammara ka ghulam hamesha preshan rehta hai.woh kai tarah say apne
dil par zarbein lagata hai. apni sharam gaah ko ghalat istemaal (use)
karta hai apni bad kardari ke zahir hone ke kaof aor badnami waghaira
ke khaof say us ka dil preshan rehta hai aor ye khaof us ke dil ko
kamzor kar deta hai.
11-Jald Baazi
Fikar aor tashweesh ye doonoon insan ki zindagi aor sehat ke dushman
hain.baaz aoqaat ye insaan ki jald baazi ka natija (result) hote hain.
jald baaz aadmi jald baazi karte waqt apne dil par kaafi bojh dalta hai
pher woh jaldi mein bari ghaltiyan kar jata hai jis ki waja say us ko
nadamat hoti hai jis say us ke dil ko bahut sadma hota hai aor ye sadma
us ke dil ko kamzor karta hai.
12-Daolat Ki Hiwas
Jab insan jaiz aor najaiz, munasib aor na munasib mein koi tameez
nahi karta to woh apne zameer ka khoon kar ke jaisay bhi ho apni
matlooba cheez ko hasil karne ki dhun mein laga rehta hai. is say dil
mein naqahat paida ho jati hai. numbar ek to daolat hasil karne mein woh
apne jisam aor demagh par zaroorat say zayada bojh dalta hai pher kamae
howe maal ko mahfooz rakhne mein demagh sozi katrta hai pher nuqsaan
hone ki soorat mein apna ropia paisa ke nuqsaan ho jane ki soorat mein
un ke dil par aisi zarab lagti hai ke baaz aoqaat to Heart Attack ho
jata hai. is leye ropia paisa kamane ke khayal ko wabaal e jaan nahin
bana chahye.apne akhrajaat ko kam karna chahye aor saada zindagi basar
karni chahye.
Post a Comment